Roman script

chal chal chal chal

chal chal chal chal

chal chameli chameli baag me, mewa khilaunga

chal chameli baag mein, mewa khilaunga

chal chameli baag mein, mewa khilaunga

mewe ki tahni tut gayi to

chadar bichaunga

chadar ka pallu phat gaya to

darji bulwaunga

darji ki sui tut gayi to

ghoda daudaunga

ghode ki taang tut gayi to

to to to to

to tum ko uthaunga, dil me bithaunga

chal chameli baag mein, mewa khilaunga

chal chameli baag mein, mewa khilaunga

itna sab kuch karke phir dil me bithaoge

itna sab kuch karke phir dil me bithaoge

pehale se hi dil mai bitha lo tum thak jaoge

tum thak jaoge

tum thak jaoge

chal chameli chameli baag me, jhula jhulaungi

chal chameli baag mein,  jhula jhulaungi

jhule ki rassi tut gayi to, anchal bichhaungi

anchal ka pallu phat gaya to, si kar dikhaungi

sui jo mujh ko chubh gayi, hanskar manaungi

hans kar jo tum na mane to

ro kar dikhaungi tumko manaungi

tum maan jaonge mai ruth jaungi

tum maan jaonge mai ruth jaungi

chal chameli chameli baag me panchhi dikhaunga

chal chameli baag mein panchhi dikhaunga

panchhi dalli se ud gaye to, siti bajaunga

siti se bhi wo na mude to, bansi bajaunga

bansi jo gir ke tut gayi to, mai geet gaaunga

geeto mai tumko, pyaar ki baate sunaunga

baate sunaunga

din raat phir tumko mai yaad aaunga

din raat phir tumko mai yaad aaunga

yaad na aana warna mujhko neend na aayengi

ankho hi aankho mai saari raat jayengi

chal chameli baag mein chori se jaayenge

chal chameli baag mein chori se jaayenge

chori se maali ki sabhi kaliya churayenge

kaliya chura ke tera gazra banayenge

ye to socho kyaa hoga jo pakde jayenge 

pakde jayenge, pakde jayenge

pakde jane se pehale to hum bhaag jaayenge

pakde jane se pehale to hum bhaag jaayenge

chal chameli baag mein, mewa khayenge

Explore this song