Roman script

chal-chal re musaafir chal tu us duniya me chal

chal-chal re musaafir chal tu us duniya me chal

jaha dil kaa ik ishaara ho aur duniya jaaye badal

chal-chal re musaafir chal tu us duniya me chal

masti bhari hawaaye jis gali se jaaye phul khilaaye

yeh madhosh nigaahe jispe tik jaaye apna banaaye

yeh madhosh nigaahe

jaha pyaar kaa rasta koyi naa roke, koyi naa kahe sambhal

chal-chal re musaafir chal tu us duniya me chal

rup ki pyaasi aankhe dil me armaan sau tufaan

aakhir kabhi toh hogi tumse pahchaan o anjaan

aakhir kabhi toh hogi

kabhi toh rimjhim barsenge yeh rang bhare baadal

chal-chal re musaafir chal tu us duniya me chal

pyaar ki rit niraali jo mausam jaaye jaa ke naa aaye

dam bhar ki ujiyaali jab din dhal jaaye dil ghabraaye

dam bhar ki ujiyaali

jahan ujade naa singaar kisi kaa phaile naa kaajal

chal-chal re musaafir chal tu us duniya me chal

Explore this song