Roman script

chaand sitaare phul aur khushbu 

chaand sitaare phul aur khushbu ye to saare puraane hai

taaza taaza kali khili hai ham uske diwane hai

are kali ghataaye barkha saavan 

kali ghataaye barkha saavan ye to sab afasaane hai

taaza taaza kali khili hai ham uske diwane hai

andaaz hai uske naye naye, naya naya diwanapan 

pehna hai taaz javaani ka hans ke laut gaya bachpan

git gazal sab kal ki baate 

git gazal sab kal ki baate uske naye taraane hai

taaza taaza kali khili hai ham uske diwane hai

hai rup me itna saadapan to kitna sundar hoga man 

bin gehne aur singaar bina vo to lagati hai dulhan

kajal bindiya kangan jhumake

kajal bindiya kangan jhumake ye to guzare zamaane hai

taaza taaza kali khili hai ham uske diwane hai

chaand sitaare phul aur khushbu ye to saare puraane hai

taaza taaza kali khili hai ham uske diwane hai

are kali ghataaye barkha saavan ye to sab afasaane hai

taaza taaza kali khili hai ham uske diwane hai

lyrics typed by: neha gupta

Explore this song