Roman script

culcutta ho ya kashi ilahabaad ya itarsi

jaha rahega baat kahega jaha rahega baat kahega 

solha aane sachi mama bnarasi

jaha rahega baat kahega solha aane sachi mama bnarasi

culcutta ho ya kashi ilahabaad ya itarsi

jaha rahega baat kahega solha aane sachi mama bnarasi

arey jaha rahega baat kahega 

solha aane sachi mama bnarasi

ha sas sasur ji kaise ho tum bolo to kuch bolu

sas sasur ji kaise ho tum bolo to kuch bolu

tum kundi khadkao mama to darwaja kholu

achha abhi se kholna chahta hai

khol do beta kuch bol bhi dal

sas sasur na kahe ki dulhan kitni dolat layi 

sas sasur na kahe ki dulhan kitni dolat layi 

samjhe bahu ke rup me laxmi chalkar khud ghar aayi

lekin bhai jo sas bahu ko hatho ka mel samjhti hai 

bahu use shamshan ki chudel samjhti hai

arey vo sasure jo dhej ko kamai samjhte hai

hum unhe suvar ke bade bhai samjhte hai  

arey bilkul thik kaha mama

sachi baat to har jhute ko lagti hai talwar si jaha rahega

jaha rahega baat kahega solha aane sachi mama bnarasi

arey jaha rahega baat kahega 

solha aane sachi mama bnarasi

ha patni aur pati ho kaise unke liye kuch bolu

patni aur pati ho kaise unke liye kuch bolu

kunji zara ghumao mama muh ka tala kholu

kaise khulega badi kathin samsya hai

le ghuma di kunji patni aur pati ka rishta jaise deepak baati 

patni aur pati ka rishta jaise deepak baati

dukh aur sukh aapas me bante tab hai jivan sathi 

aisa hai kya to sun 

lekin aurat ko jo havas ki sogaat samjhte hai  

hum unhe gadhe ki aulad samjhte hai aur suno

jo apni patni ko satta aur parayi ko attha samjhte hai

hum unhe hunderd percent ullu ka phatha samjhte hai

arey sahi kaha mama

sachi baat to har jhute ko lagti hai talwar si jaha rahega

jaha rahega baat kahega solha aane sachi mama bnarasi

culcutta ho ya kashi ilahabaad ya itarsi

jaha rahega baat kahega solha aane sachi mama bnarasi

arey jaha rahega baat kahega 

solha aane sachi mama bnarasi

Explore this song