Roman script

bujh gaya deep

bujh gaya deep ghira andhiyara 

bujh gaya deep ghira andhiyara 

jyot kaha se lau

jyot kaha se lau

mai nahi aasu ye kahte

ab ye deep jalau

ab ye deep jalau

bujh gaya deep

dhue si aas me thi bechari

raat ab pahchan hamari

ye andhiyari aur man bhari

jo mera dukh jan na paye

kya usko samjhau

kya usko samjhau

bujh gaya deep

apne ko apne me khote

kabhi kabhi sach sapne hote

par ye pran 

par ye pran kaha hain sote

sapne sanjone wali sukh ki

nind kaha se pau

bujh gaya deep

mujhpe daya kar jayenge kya

devta koi aayenge kya

aangan deep jalayenge kya

un geeto ko nain me bharke

apne ang lagau

bujh gaya deep gira andhiyara 

jyot kaha se lau

jyot kaha se lau

Explore this song