Roman script

murli ki mithi wo taan sunaaye man ko manohar harta jaaye 

diwani mohe wo apni banaye nit wo aise raas rachaye

brinndavan mein gopi aayo brinndavan mein gopi aayo 

hum gopiyan ke mann ko bhayo

murli ki mithi wo taan sunaaye man ko manohar harta jaaye 

diwani mohe wo apni banaye nit wo aise raas rachaye

brinndavan mein gopi aayo hum gopiyan ke mann ko bhayo

bhagy par apne mai vaari jaau pal pal mai balihaari jaau 

kanha ko main sang jo paau kanha ko main sang jo paau

jo man me abhimaan hai khilta kanha ka waha daras na milta 

dharti par pag rakh nahi paau neel gagan pe udti jaau 

kanha ko main sang jo paau to sabse alag main khudko paau

duniya ko darpan dikhlaau kanha ko main sang jo paau

jo man me abhimaan hai khilta kanha ka waha daras na milta 

man me ahem ka ansh jo laaye kanha ke wo man ko dukhaye

bhul hui hum sabse shyama kardo hum gopiyan ko shama 

bansi ki mithi taan sunado vyakul mann ko phir behla do 

brinndavan mein gopi aayo hum gopiyan ke mann ko bhayo

brinndavan mein gopi aayo hum gopiyan ke mann ko bhayo

murli ki mithi wo taan sunaaye man ko manohar harta jaaye 

diwani mohe wo apni banaye nit wo aise raas rachaye

murli ki mithi wo taan sunaaye man ko manohar harta jaaye 

diwani mohe wo apni banaye nit wo aise raas rachaye

Explore this song