Roman script

brij ke nandlala radha ke sanwariya

sabhi dukh dur hoye jab tera naam liya

brij ke nandlala radha ke sanwariya

sabhi dukh dur hoye jab tera naam liya

meera pukare jab girdhar gopala

dhal gaya amrit me vish ka bhara pyala

kaun mitaye use jise tu rakhe piya

sabhi dukh dur huye jab tera naam liya

brij ke nandlala radha ke sanwariya

jab tere gokul pe aaya dukhkari

ek ishare se sab vipada tari

mud gaya govardhan tune jit mod diya

sabhi dukh dur huye jab tera naam liya

brij ke nandlala radha ke sanwariya

naino me sham base man me banwari

sudh bisraye gayi murli ki dhun pyari

man ke madhuban me ras rachaye rasiya

sabhi dukh dur huye jab tera naam liya

brij ke nandlala radha ke sanwariya

sabhi dukh dur hoye jab tera naam liya

Explore this song