Roman script

bhukh hi bhukh hai insan se haiwan tak

bhagwan se shaitan tak

bhukh hi bhukh hai bhukh hi bhukh hai

bharat desh me sab kuch hai

ho daulat bhi hai anaj bhi

or dudh ki nadiya bahti hai

ho is dharti pe aaj bhi magar 

ye sab kuch chupa hua hai chor ke tahkhano me

jo mahangayi faila kar khud aish kare maykhano me

lanat hai in gaddaro par yahi to desh ke dusman hai

ram raj ko lutne wale aaj bhi kitne rawan hai

daulat ka koi bhukha hai roti ka koi bhukha hai

bhukh hi bhukh hai bhukh hi bhukh hai

daulat ne insano ko ho do hisso me bat diya hai

ek amir or ek garib do namo ne janam liya hai

unche mahal makhmal ke gadde

chandi sona ek taraf tute jhopade khak ka bistar

dukh ka rona ek taraf kimti care sari bahare ho

sukh ka jina ek taraf jalte paw nanga badan ho

mehanat ka pasina ek taraf bhukh kahi aaram ki

bhukh kahi hai kam ki bhukh hi bhukh hai

bhukh hi bhukh hai

is dunia ke mele me ye khel bhi dekha jata hai

koi dudh malai khata hai koi jhuthan ko lalchata hai

pet ki aag bujhane ko jab jhuthan koi uthata hai

ek bhukhe se dusra bhukha chinta hai le jata hai

hotel ho ya kachra ghar haye roti jaha mil jati hai

insan or haiwan ko ho o bhukh ek jagah le aati hai

yahi tamsha dunia me sadiyo se dekha jata hai

magar wo uparwala kisi ko bhukha nahi sulata hai

bhukha nahi sulata hai

Explore this song