Roman script

apni karni ka phal pate hai jag me murakh prani

bhasmasur mohini bani hai uski amar kahani

om namah shivay, om namah shivay

shiv shankar ko magan dekh

bhasma aage aaya

dedo vardan prabhu

bhasm ne apna shish jhukaya

umanath ne hath uthakar usko var de dala

jiske sir pe hath dharoge bhasm karegi jwala

bhul gaya mata ka nata ye papi abhimani

bhasm karu main shiv shankar ko 

usne man me thani

parvati ke pane ko shivji par hath badhaya

kaanp uthe shankar parlayankar 

paapi pichhe aaya

dola ambar doli dharti kaanpa sagaar pani

vishnu lok ke dware gunji

dukhiyaro ki vani

hey narayan hey narayan hey narayan

Explore this song