Roman script

bhari sabha me ram bhakt ki hoti aaj hasaayi 

bhakt dare kyu duniya se jab ram hai uske sahaayi 

mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar

jab jab sunte karun pukaar aate pal me karuna dhaar 

raam ki mahima aparampaar

baalpane me vishwamitra ke saath chale raghuraayi

ek teer se maar giraya jabhi taarka aayi 

rakhwaale ban gaye kripalu yagya bhumi ke dwar 

raam ki mahima aparampaar

mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar

pathar bankar padi ahilya, shraap pati ka paya  

dinbandhu ne charan dhul se uska shraap mitaya 

sati ahilya ko bhagwan ne, pal me diya ubaar 

raam ki mahima aparampaar

mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar 

jab hua seeta swyamvar dur se aaye dhanurdhar

haarkar baithe sabhi shiv ke dhanush ko chhod ke 

akad me lankesh aaya dhanush usse uth na paya

ram ne tab rakh diya pal me dhanush ko tod ke  

magan ho gayi mithala nagri, magan ho gayi mithala nagri

hui suman bauchhar, raam ki mahima aparampaar

mahima aparampaar raam ki mahima aparampaar

bholi bholi sabri ne chakh chakh kar ber jhuthaye

ber prem ke ber ber shri raam chandra ne khaaye

bhole bhagwan bhed bhaav ka karte kaha vichaar   

raam ki mahima aparampaar

bhakto ke rakhwaale bhagwan meri aan nibhaao 

man mandir ke swaami mere man me darash dikhaao 

man me darash dikhaao jay jay jay shri raam 

o o raghupati raaghav raja ram, patit paavan sita ram 

raghupati raaghav raja ram, patit paavan sita ram 

Explore this song