Roman script

arey sun lo dada ji mere, hai pakke kanjush

arey mai kya sara jag kahe, unko makhichus

mere baba ji mujhe baat batlaye 

arey ho

beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

kaano me gupchhup, ye bhed samjhaye

arey ho

beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

ho beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye  

kacche besan ki desi pakodi 

maya jodi kaudi kaudi

kacche besan ki desi pakodi 

maya jodi kaudi kaudi

arey daulat ke chand lagaye hai baithi 

duniya badi hai nigodi

koi nithlau, tumhe ullu na banaye 

arey ho

beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

ho beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye  

munji ki punji se, jalti hai duniya

karti hai paise kisi ka

munji ki punji se, jalti hai duniya

karti hai paise kisi ka

arey kahti hai paise ko hatho ka mail

hum kahte hai maathe ka tika

paise ki thokar se, bhag khul jaye 

arey ho

beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

ho beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye  

paise ke jaisa koi nahi

parmeshwar hai, duniya me duja

paise ke jaisa koi nahi

parmeshwar hai, duniya me duja

arey lakshmi ka asli pujari hai wo

jo kare paise se paise ki pooja

paise ke pichhe ye jaan chali jaye

arey ho

beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

ho beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye  

mere baba ji mujhe baat batlaye 

arey ho

beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye 

ho beta chamdi to jaye, magar damdi na jaye

Explore this song