Roman script

mile jo raah me chhede 

wo muskura ke mujhe

hanse wo shokh nigaho se gudguda ke mujhe

wo mujhko pass bulaye to dil mera dhadke

kahin wo maar na daale sata sata ke mujhe

bedardi beimaan natkhat saanwariya

bedardi beimaan natkhat saanwariya

jiya jala gayo ram re mora

jiya jala gayo ram re mora

bedardi beimaan

are wo aake shararat se mera naam liya

main hans padi to mera hath badh ke tham liya

chhudaya hath to daman pakad liya mera

na jane kab ka sitamgar intkaam liya

aa bedardi beimaan natkhat saanwariya

bedardi beimaan

hazaar baar to taala use bahane se

tab bhi wo baaj na aaye mujhe satane se

main usse lakh kahu chhod dekh lega koi

use to laaj na aaye magar zamane se

aa bedardi beimaan natkhat saanwariya

bedardi beimaan natkhat saanwariya

jiya jala gayo ram re mora

bedardi beimaan

Explore this song