Roman script

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai

kabhi ham sath gujare jin sajili reh gujaro se

fiza ke bhes me girte hain abb patte chanaro se

yeh rahe yad karti hain, yeh gulshan yad karta hai

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

koyi jhonka hawa ka jab mera aanchal udata hai

guman hota hai jaise tu mera daman hilata hai

kabhi chuma tha jo tune wo daaman yad karta hai

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

wo hi hain jhil ke mandar wo hi kirno ki barsaate

jaha ham tum kiya karte the paharo pyar ki bate

tujhe iss jheel ka kamosh darpan yad karta hai

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

barasta hai jo aankho se wo sawan yad karta hai

bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Explore this song