Roman script

ho dil na dukh jaye, garibo ka hamesha darna

zindagi khwaab hai, is par na bharosa karna

bata de bhagwan, jaye kaha koi nahi apna yaha

bata de bhagwan, jaye kaha koi nahi apna yaha

bata de bhagwan 

na puchho aadmi par kya gujarti hai mushibat me 

khilona banke rah jata hai jab majbur hota hai

haaye wo rota hai, bata de bhagwan 

zamane ka sataya is tarha majbur hota hai

ki jaise chand gehnaya hua benur hota hai 

haye wo rota hai, bata de bhagwan 

bigad jati hai jab kismat, kisi se kuch nahi banta 

wohi hota hai jo bhagwan ko manjur hota hai

wohi hota hai, bata de bhagwan

Explore this song