Roman script

kabhi dhund hai kabhi ujaala

raat ha gori si din hai kaala

lamhon mein uljhi huyi, waqt ki parchhaiya

pedo ki chaadar odhe baithi hai tanhaaiya

koyi nahi, koyi nahi tere aas paas

bas saath hai sirf ehsaas

khaamosh waadiyon mein anjaani halchal hai

sacchaayi ke niche har taraf daldal hai

jo kuchh nazar aaye kya wo haqiqat hai

sama ke harkat pe kis ki hukumat hai

koyi nahi, koyi nahi tere aas paas

bas saath hai sirf ehsaas, ehsaas

shaq ke darwaaje pe dastak hai jhuthi si

baithi hai jindagi ghar mein kyun roothi si

aawaara baadal se bhatke jazbaat hai

tukdo mein bikhare saare haalaat hai

koyi nahi, koyi nahi tere aas paas

bas saath hai sirf ehsaas, ehsaas, ehsaas

Explore this song