Roman script

barsaat ke din aaye mulakaat ke din aaye

betabiyo ke sharaare bichhe hai

ye saawan ki rimjhim jhadi hai

kadam bekhudi me behakne lage hai 

ye madhoshiyo ki ghadi hain

barsaat ke din aaye mulakaat ke din aaye

hum soch me the jinke us raat ke din aaye

barsaat ke din aaye barsaat ke din aaye

jalte rahe hum khayalo ke lau se 

sahi humne barso judaai

cham cham barasti suhani ghata ne 

ajab si agan hai lagaai

barsaat ke din aaye mulakaat ke din aaye

hum soch me the jinke us raat ke din aaye

barsaat ke din aaye barsaat ke din aaye

na tum hosh me ho na hum hosh me hai

behak jaaye na tum sambhalo hume

gujarish yahi hai tamannao ki

sanam baajuo me uthalo hume

jasbaat ke din aaye mulakaat ke din aaye

hum soch me the jinke us raat ke din aaye

barsaat ke din aaye barsaat ke din aaye

deewani deewani jawani mastani

garm saanso me tufan hai

deewana deewana sama hai deewana

zara si chahat bhi beimaan hai

dhua sa uthe hai kahi jism se

kaho baadlo se baraste rahe

saha jaaye na ye judaai ka gam

bhala kab talak hum taraste rahe

baraat ke din aaye mulakaat ke din aaye

hum soch me the jinke us raat ke din aaye

barsaat ke din aaye barsaat ke din aaye

barsaat ke din aaye

Explore this song