Roman script

barbad na karde kahi bedard zamana

ha bedard zamana ha bedard zamana

allah mohabbat ko tabahi se bachana

tabahi se bachana ha allah bachana

ha allah bachana

armano pe mere kahi phir jaye na pani

ho jaye na barbad  mohabbat me jawani

ban jau na main julm ke teero ka nishana

teero ka nishana allah bachana ha allah bachana

dar hai ke dhadkate hue dil tut na jaye

milne ko taraste hai kahi chhut na jaye

mil jaye na duniya ko satane ka bahana

satane ka bahana

ha allah bachana ha allah bachana

deti hu larazte hue hotho se duhai

ho jaye na do chahne walo me judai

rah jaye adhura na mohabbat ka fasana

mohabbat ka fasana

ha allah bachana ha allah bachana

Explore this song