Roman script

banaayi hai itni badi jisne duniyaa 

use tute dil ka banana na aayaa 

banana na aayaa 

judaa to kiyaa usne hamko milaakar 

judaa kar diyaa to milana na aayaa 

milana na aayaa 

sunaa hai ke usne sitaare banaaye 

sunaa hai ke usne sitaare banaaye 

deeye saikdo aasmaa par jalaaye 

aasmaa par jalaaye 

bujhaa jo hamara chiraag-e-tamannaa 

use ye deeya to jalana na aayaa 

jalana na aayaa 

ye aaho ke shole ye ashko ki ladiyaan 

ye aaho ke shole ye ashko ki ladiyaan 

ye roti si aankho mein saavan ki jhadiyaan 

saavan ki jhadiyaan 

jigar me lagaa di hai ye aag kisne 

ke daaman bhi hamko bachana na aayaa 

bachana na aayaa 

banaayi hai itni badi jisne duniyaa 

use tute dil ka banana na aayaa 

banana na aayaa

Explore this song