Roman script

bana ke kyun bigaada re

bana ke kyun bigaada re bigaada re nasiba

upar vale, upar vale

bana ke kyun bigaada re bigaada re nasiba

upar vale, upar vale

bana ke kyun bigaada re

jo tujhko manzur nahi tha phul khile is pyaar ke

phir kyo tune in aankho ko rang dikhaaye bahaar ke

aas bandha ke pyaar jata ke bigaada re nasiba

upar vale, upar vale

bana ke kyun bigaada re

paap kare insaan agar to vo paapi kehlaata hai

tune bhi ye paap kiya phir kaise kahu tu data hai

raah dikha ke raah pe laa ke bigaada re nasiba

upar vale, upar vale

bana ke kyun bigaada re bigaada re nasiba

upar vale, upar vale

bana ke kyun bigaada re

Explore this song