Roman script

bairan nind na aaye

bairan nind na aaye, mohe bairan nind na aaye

mora jiya ghabaraye

bairan nind na aaye, mohe bairan nind na aaye

suni padi meri palko ki galiya

suni padi meri palko ki galiya

kaun khilaye nindiya ki kaliya, apne bhi hain paraye

mohe bairan nind na aaye, bairan nind na aaye

lakh jatan karu aankh naa lage

lakh jatan karu aankh naa lage

so gayi kushiya aur ghum jage, ghayal man kit jaye

mohe bairan nind na aaye, bairan nind na aaye

yaad aaye jab pyar ki baate 

yaad aaye jab pyar ki baate 

aur bhi lambi ho jaye raate, bhor najar nahi aaye

mohe bairan nind na aaye, bairan nind na aaye

Explore this song