Roman script

bahane kyu karti ho humpe tum bhi marti ho

bahane kyu karti ho humpe tum bhi marti ho

abhi to naya sath hai aaj hansi to kal bhi hansogi 

pyar kisi din karne lagogi thode dino ki bat hai

bahane kyu karti ho 

sabse tum zuda sahi husn ke khuda sahi

ada hi ada sahi hum bhi bure to nahi

nazar maikada sahi zulf ek ghata sahi

tum pe sab fida sahi hum bhi bure to nahi

kahan tak tadpaogi rah par aa jaogi

kahan tak tadpaogi rah par aa jaogi

abhi to naya sath hai aaj mili to kal bhi milogi 

aah kisi din bharne lagogi thode dino ki bat hai

bahane kyu karti ho

rang ke nikhar par rup ki bahar par

ankohe singar par tumko agar naz hai

game intzar par dile bekarar par

hume apne pyar par tumse bada naz hai

aji ye gussa chhodo abhi se dil na todo

aji ye gussa chhodo abhi se dil na todo

abhi to naya sath hai aankh jhuki to dil bhi jhukega 

ab ye milan to hoke rahga thode dino ki bat hai

bahane kyu karti ho humpe tum bhi marti ho

bahane kyu karti ho humpe tum bhi marti ho

abhi to naya sath hai aaj hansi to kal bhi hansogi 

pyar kisi din karne lagogi thode dino ki baat hai

bahane kyun karti ho

Explore this song