Roman script

vabasta kabhi, jaamo subu se na hua

kuchh fayada koyal ki bhi, ku se na hua

aa kabr pe meri ke meraa jimma hai

tu mast agar mitti ki bu se na hua

paigaame ajal laayi thi laayi hogi

tab gham ki ghata chhaayi thi chhaayi hogi

ye jaam ye khushabu ye bahara ye sharab

glushan me khija aayi thi aayi hogi

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

agar tumse suraj kabhi ruth jaaye

mere jaam se roshani maang lena

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

gaya aake aangan se, khushbu kaa mausam

ke mausam ko ek roj, jaana tha yun bhi

gaya aake aangan se, khushbu kaa mausam

ke mausam ko ek roj, jaana tha yun bhi

abhi daaliyo par bahut phul honge

kisi phul se dilkashi maang lena

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

kabhi bojh gam ka, jo badh jaaye dil par to

ro lena tanhaaiyo se lipat kar

kabhi bojh gam ka, jo badh jaaye dil par to

ro lena tanhaayiyo se lipat kar

labo par kabhi aaye harfe shikaayat 

to divaar se khaamoshi maang lena

agar tumse suraj kabhi ruth jaaye

mere jaam se roshani maang lena

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

ye lambi ghani raat kaise kategi

sahaara to ek chaahiye zindagi ko

ye lambi ghani raat kaise kategi

sahaara to ek chaahiye zindagi ko

agar shamma tumse kare bewafayi

kisi saye se dosti mang lena

agar tumse suraj kabhi ruth jaaye

mere jaam se roshani mang lena

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

bahaare agar tumse daaman bachaaye

mere jakhm se taajagi maang lena

Explore this song