Roman script

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

birhan ke man aag lagayi

birhan ke man aag lagayi

dharti ki pyas bujhayi

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

naache mor papiha gaaye 

ruthe piya ki yaad laye

naache mor papiha gaaye 

ruthe piya ki yaad laye

paas nahi harjai preetam

paas nahi harjai preetam

tan ko chhuye purwayi

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

aaya sawan aaye na saajan

chhat pe khadi khadi bhige birhan

aaya sawan aaye na saajan

chhat pe khadi khadi bhige birhan

raahe tak tak thak gayi ankhiya

raahe tak tak thak gayi ankhiya

yu hi umar bitayi

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

bijli ke dar se lipti piya se

pahli yaad na jaye jiya se

bijli ke dar se lipti piya se

pahli yaad na jaye jiya se

tanha man ko aur daraye

tanha man ko aur daraye

yaado ki shehnai

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

birhan ke man aag lagayi

birhan ke man aag lagayi

dharti ki pyas bujhayi

badra chhaye neel gagan pe

sawan ki ritu aayi

Explore this song