Roman script

badalo se kaat-kaat ke kagazo pe naam jodna

badalo se kaat-kaat ke kaagazo pe naam jodna

yeh mujhe kya ho gaya are ye mujhe kya ho gaya

doriyo se bandh-bandh ke raat bhar chand todna

yeh mujhe kya ho gaya, ye mujhe kya ho gaya

ek baar tumko jab baraste paniyo ke paar dekha tha

yu laga tha jaise gungunata ek aabshar dekha tha

ek baar tumko jab baraste paniyo ke paar dekha tha

yu laga tha jaise gungunata ek aabshar dekha tha

tab se meri nind me barasti rehti ho

bolti bahut ho aur hansti rehti ho

jo tujhe janta na ho usase tera naam puchhna

yeh mujhe kya ho gaya, ye mujhe kya ho gaya

ye mujhe kya ho gaya

dekho yu khule badan tum

dekho yu khule badan gulabi sahilo pe aaya na karo

tum namak bhare samundaro me is tarah nahaya na karo

sara din chandni si chhayi rehti hai

aur gulabi dhoop baukhlayi rehti hai

jamno ki naram daal pe nakhuno se naam khodna

yeh mujhe kya ho gaya, ye mujhe kya ho gaya

badalo se kaat-kaat ke kagazo pe naam jodna

doriyo se bandh-bandh ke raat bhar chand todna

yeh mujhe kya ho gaya

Explore this song