Roman script

badi muddat ke bad ho badi muddat ke bad 
badi muddat ke bad aaj wo mahfil me fir aaye 
wo fir aaye badi muddat ke bad
jawani ke hasi lamhat jaise laut kar aaye 
wo fir aaye badi muddat ke bad 
wo leke aa gaye gujri baharo ko bhi sath apne 
wo leke aa gaye gujri baharo ko bhi sath apne
fir humne jindagi dekhi thi humko wo najar aaye
wo fir aaye badi muddat ke bad
ho o badi muddat ke bad
humari maut se pahle wo milne aa gaye humse
humari maut se pahle wo milne aa gaye humse 
shabab aaya gulo par aaj hajaro rang bhar aaye
wo fir aaye badi muddat ke bad 
ho o badi muddat ke bad
lo machle dil me fir jajbat aur shahnaiya gunji
lo machle dil me fir jajbat aur shahnaiya gunji 
ye kya kam khush nashibi hai wo bhule se idhar aaye
wo fir aaye badi muddat ke bad
ho o badi muddat ke bad 
aaj wo mahfil me fir aaye 
wo fir aaye badi muddat ke bad

Song details

Song video

Watch on YouTube