Roman script

badal rahi hain jamee, badal raha hain aasma 

badal rahi hawaye, aur badal raha jahaa 

bahno tumhare samne, tedha sawal hain 

manushy ke bhavisy ka, tumhe khayal hain 

ghunghat nikal ke jo, tum yu sunghti rahi 

kajal nayan me dal, phul sunghti rahi 

nylon ki sariyo me, tan ubharti rahi 

fashion pared me, umar gujarti rahi 

mit jayega ye mulk, aur ye jyotiya tamaam

jo tum na tham loge aaj waqt ki lagam 

bahno tumhare kandhe pe, gajab ka bhaar hain 

svdharm ki svdesh ki, tumhe pukar hain 

jago bhavishy ki matao 

jago dharti ko sitao 

jago puran aur geetao jago

mardo ke faisalo ka to, vahi purana dhang hain 

dasi banakar hamko, rakhna chahte hain sang 

aadat purani mardo ki kabhi na jayegi 

tahjeeb inki hain, inhe yahi sikhayegi 

bas hamse to inhe, rangeela pyaar chahiye 

kuchh puchhne ka bhi, nahi adhikar chahiye 

parda hatao dharm ka, ye sharm chhod do 

aurat pe jo sitam kare, wo dharm chhod do 

mardo ke karnamo ke hain, unke rang dhang 

mardo ke haatho se sada hi hote aaye jung 

ye jung ab na ho na, julmo ka kahi ho jor 

bas aaj apane haath me lo inki bagdor 

jago shanti ki avtai 

jago shasan ki adhikari 

jago ghar ghar ki sannari jago 

vigyan ka inhe hua bada guman hain

mana ki chandr lok me gaya vimaan hain 

atom banane waalo ko na itana dhayan hian 

atom hi par khada hua, inka makan hain 

rocket banake samjhte tarakki ho gyai 

insaniyat ki neev aaj pakki ho gayi 

din raat jhuthe khwab me hi jhulte hain ye 

hona kya chahiye wo baat bhulte hain ye 

apani grihasti chhod jane ghumte kidhar 

saare jaha ka bas inhi ko hain laga fikar 

taakat batorne ko hain inhe bada nasha  

is khinch taan me na ho kabhi durdasha 

jago he gyan ki balao 

jago vijayi jai malao 

jago jauhar ki jwalao jago

Explore this song