Roman script

baad muddat unhe dekh kar yun laga

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

baad muddat unhe dekh kar yun laga

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

aarzuon ke gul muskuraane lage

jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gaya

tishna nazaren mili shokh nazaron se jab

may barasne lagi jaam bharne lage

tishna nazaren mili shokh nazaron se jab

may barasne lagi jaam bharne lage

sakiyaa aaj teri zarurat nahi

bin piye bin pilaaye khumaar aa gaya

baad muddat unhe dekh kar yun laga

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

raat sone lage subah hone lagi

shamma bujhne lagi dil machalne lage

raat sone lage subah hone lagi

shamma bujhne lagi dil machalne lage

waqt ki raushni mein nahaai hui

zindagi pe ajab saa nikhaar aa gaya

baad muddat unhe dekh kar yun laga

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

har taraf mastiyaan har taraf dilkashi

muskuraate dilo mein khushi hi khushi

har taraf mastiyaan har taraf dilkashi

muskuraate dilo mein khushi hi khushi

kitna chaha magar phir bhi uth na saka

teri mahfil mein jo ek baar aa gaya

baad muddat unhe dekh kar yun laga

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

jaise betaab dil ko karaar aa gaya

Explore this song