Roman script

aye zindagi ke raahi himmat na haar jaana

aye zindagi ke raahi

beetegi raat gham ki badalega ye zamaana

aye zindagi ke raahi

kyon raat ki siyaahi tujh ko dara rahi hai

haare huye musaafir manzil bula rahi hai

bas jaayega kisi din ujada jo aashiyaana

beetegi raat gham ki badalega ye zamaana

aye zindagi ke raahi

haatho se tere daaman ummeed ka na chhute

dam tut jaaye lekin himmat kabhi na tute

marne me kya dhara hai jeene kaa kar bahaana

beetegi raat gham ki badalega ye zamaana

aye zindagi ke raahi

Explore this song