Roman script
Le aayi hai beete hue Lamhon ko phir haan ye zindagi Yun beraham si ho gayi Lene chali jaan ye zindagi Khuda kyun rooth gaya mujhse Nahi tha bair mera tujhse Kyun tune chheen liya mujhse Mera jahaan… Aye Khuda (Khuda…) Tu bata (bata…) Ummeed thi, armaan the Khushiyan bhi thi, behisaab si Baahon mein thi, duniya meri Thi zindagi jaise khwaab si Har ik pal roshan roshan tha Mehekta dil ka aangan tha Tha jannat se badhkar pyaara Mera jahan… Aye Khuda (Khuda…) Yeh bata (bata…) Yeh kya kiya Khuda… haaye! Yeh kyun kiya Khuda… Bata mere Khuda… Thi kya meri khata… Bejaan si hai zindagi Har saans hai ghamzada Yeh kya kiya Khuda… haaye! Yeh kyun kiya Khuda… Bata mere Khuda… Thi kya meri khata… Ummeed hai tooti hui Tanhaiyon ka daur hai Hai khwaishein bikhri hui Khamoshiyon ka shor hai Bula le apne paas mujhe Naa aaye jeena raas mujhe Kyun tune chheen liya mujhse Mera jahaan.. Aye Khuda (Khuda…) Tu bata (bata…) Yeh kya kiya Khuda… haaye! Yeh kyun kiya Khuda… Bata mere Khuda… Thi kya meri khata… Bejaan si hai zindagi Har saans hai ghamzada Yeh kya kiya Khuda… haaye! Yeh kyun kiya Khuda… Bata mere Khuda… Thi kya meri khata… Aa…
Song details
- Singer: Rahat Fateh Ali Khan
- Singer: Shreya Ghoshal
- Film / album: Rocky Handsome
- Composer: Sunny Bawra, Inder Bawra
- Lyricist: Sachin Pathak
- Lyricist: Shekhar Astitwa
singer: Rahat Fateh Ali Khan, Shreya Ghoshal
lyricist: Sachin Pathak, Shekhar Astitwa
language: Hindi