Roman script

aye gulbadan, aye gulbadan

phulo kee mehak kaanto kee chubhan

tujhe dekh ke kehta hai meraa mann

kahee aaj kisise mohabbat naa ho jaaye

kya hasin mod par aa gayee jindgaanee

kee hakikat naa ban jaaye meree kahaanee

jab aahe bhare yeh thandee pawan

sine me sulag uthatee hai agan

tujhe dekhke kehta hai meraa mann

kya ajib rang me saj rahee hai khudaayee

kee har chij maalik ne hai sundar banaayee

nadiyo kaa chamakata hai darpan

mukhda dekhe sapano kee dulhan

tujhe dekhke kehta hai meraa mann

mai tumhee se yu aankhe milaata chala hu

kee tumhee ko mai tumse churaata chala hu

mat puchho meraa devaanaapan

aakash se unchee dil kee udaan

tujhe dekhke kehta hai meraa mann

Explore this song