Roman script

ae duniya tujhko thenga 

is sansar ki chinta kaun kare

jo hoga dekha jayega

jo hoga dekha jayega

bekar ki chinta kaun kare

kaun kare aae duniya tujhko thenga 

mahnat ki lagan hi sachi hai 

baaki sab matha pacchi hai

jab tak takat hai hatho me

jab tak takat hai hatho me

majhdhar ki chinta kaun kare

kaun kare ae duniya tujhko thenga

hum vir unhi ko mante hai  

jo jaan pe khelna jante hai

maidan me jab hum aa hi gaye

maidan me jab hum aa hi gaye

talwar ki chinta kaun kare 

kaun kare ae duniya tujhko thenga

hum aaj bade hi rang me hai 

hira moti bhi sang me hai

are pakar aise sathi, pakar aise sathi

auro ke pyar ki chinta kaun kare 

kaun kare ae duniya tujhko thenga

ae duniya tujhko thenga

is sansar ki chinta kaun kare

jo hoga dekha jayega

jo hoga dekha jayega

bekar ki chinta kaun kare

kaun kare ae duniya tujhko thenga

Explore this song