Roman script

charo taraf bekhof andhera, kadam kadam pe thago ka dera

are mar gaya chand bujh gayi chundhaiya

are dhund rahe ho kisko bhaiya

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

jamin hai par makan gayab, shutter gira hai dukan gayab

teer hai lekin kaman gayab, khada hai mufdil byan gayab

be khudi se kar lo katti, khol to ab kanun ki patti

dekh ke aankho me sach bole, palde me insaf ko tole

kahi na nojawano ka khun, kahi na ab andha kanun

har taraf failaye samta

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

gayab ho gayo makan 

macho hai hungama hungama macho hai hungama

fokat me fokat me sab presan macho hai hungama

nal ke niche sukha khada hai, bijli gul hai pol khada hai

plannig inki lambi chodi, afsar bikte lekar kodi

circus me hai roz kabaddi, tod rahe aapas me haddi

ek duje me jung chidi hai, rang me ye bhang padi hai

are bhago bhul se mili langoti, sasta khun hai mahangi roti roti

haye par mane na koi khata

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

are pani nahi bijli nahi har taraf hai shor

pani nahi bijli nahi har taraf hai shor

neta ji ke bangle pe nach raha hai mor

ulta pulta sara system, desh chal raha lashkam paskam

yaha falana waha dhimka, kahi dahej ka kahi rape ka

kahi pe chulha chale na bhai, kahi pe rabdi dudh malai

kursi ki hai khich tani, karte hai sare manmani

najar buri hai muh hai kala, pada hua hai akal pe tala

ho inhe koi to de bata

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

kahi pe mandal kahi kamandal, kahi pe faila hai kharmandal

kahi pe jhagda kahi pe bichda, khali pili kahi pe lafda

are are aam admi bhukha nanga, bhai bhai karte danga

tar jude hai bina connection, kahi donation kahi curruption

aise country kare tarakki, kanun sari kachi pakki

so rahi janta, yaha sab

are lut gaye sarkar jamana me aag lago hai

are lut gaye sarkar jamana me aag lago hai

rahna ab khabar dar jamana me aag lago hai

media ne kiya parda fas, jeet liya sabka viswas 

khel azab tv ke andar, bina byah ke hua swaywar

jago or jagao sabko, ab tu apnao sab ko

warna sab thik ho jayega, hua nahi to ho jayega

jhuth ka parda khol raha hu, jo sach ho bol raha hu

mai hu jogi ramta ramta

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

goje me gayi re bajariya gawab hue more sawariya

goje me gayi re bajariya gawab hue more sawariya

gir gaye moh pe bijuriya gawab hue more sawariya

rog bade or badh gaye rogi, sare jogi ban gaye bhogi

math dhish ban gaye mahant, karne lage dhadha ab sant

dropti chir haran karwati, seeta rawan ko le jati

kans ki kaid me hai ghanshyam, har gaye rawan se ram

aam aadmi jiska nam, wahi karega kam tamam

kyu hai bebas muh takta are bhaiya

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

yaha sab ata pata lapta, yaha sab ata pata lapta

Explore this song