Roman script

assi baras ka buddha baba karne chala hai aaj lagan

maut ke panje se bachne ki byahane chala hai nai dulhan 

assi baras ka budha 

baalo me kaali syahi lagaaye 

aji vastro se wo ang chupaye

dagmag dagmag naad hilaaye 

thumak thumak kar paaw badhaye 

maut ki rani khadi pukar kya man me ho raha magan 

assi baras ka buddha baba karne chala hai aaj lagan

assi baras ka budha 

paad padoshi kahe deewana 

aji budhe ka kuch nahin thikana 

ladki ke ladke aa bole byahane chale bhai nani nana 

ladko ke ladke bole budhe baba ko phir aaya bachpan 

assi baras ka buddha baba karne chala hai aaj lagan

assi baras ka budha 

wo kas ke kamar tyaar hua jhat ghode pe sawar hua 

bent lagi ghoda bidka budhe ka beda paar hua 

shadi ke taraane band hue shadi ke taraane

shadi ke taraane band hue chotarfa fail gaya matam 

assi baras ka buddha baba karne chala tha naya lagan

assi baras ka budha

chaudi se ban gai chita aur jame se ban gaya kafan 

aur pyjaame ka ban gaya kafan 

bandh bundhane chale barati aur 

ladke kare sab kirya karam 

sage sambhandhi khaye laddu sage sambhandhi

sage sambhandhi khaye laddu sabki dur hui uljhan 

assi baras ka buddha baba karne chala tha naya lagan

assi baras ka budha

ladki ka le naam kiya tha maat pita ne lekar dhan 

aji maat pita ne lekar dhan 

budhe ki sun kar ke mratyu wo bhi manane lage jashan 

kar di jawan se shadi

kar di jawan se shadi uski ladki ka khul gya karm 

dhan ke lobhi socho samjho paiso per mat becho dharm

aji paiso per mat becho dharm

garib gaaye se kanya par kassai ka mat karo karam 

apna jeewan maran sudharo

apna jeewan maran sudharo baar baar kehte hai hum 

assi baras ka buddha baba karne chala tha naya lagan

assi baras ka budha

Explore this song