Roman script

are re ary ye kya hua maine na yeh jana

are re are ban jaye na kahi koi afsana

are re are kuchh ho gaya koi na pehchana

are re are banta hai toh ban jaye afsana

hath mera tham lo sath jab tak ho

bat kuchh hoti rahe bat jab tak ho

samne baithe raho tum rat jab tak ho

are re are ye kya hua maine na ye jana

nam kya hai kya kahe dil ke mausam ko

aag jaise lag gayi aaj shabnam ko

aise lagta hai kisine chhu liya hamko

are re are ye kya huwa maine na ye jana

are re are ban jaye na kahi koi afsana

are re are kuchh ho gaya koi na pehchana

are re are banta hai toh ban jaye afsana

tum chale jao jara ham sambhal jaye

dhadkane dil ki kahi na machal jaye

wakt ke aage kahi na ham nikal jaye

are re are ye kya hua koi na pehchana

ham me tum me kuchh to hai, kuchh nahi hai kya

aur kuchh ho jaye to kuchh yakin hai kya

dekh lo ye dil jahan tha ye wahi hai kya

are re are ye kya hua maine na ye jana

are re are ban jaye na kahi koi afsana

are re are kuchh ho gaya koi na pehchana

are re are banta hai to ban jaye afsana

Explore this song