Roman script

suno suno hey atal himalay

hey vishal aakash

dekh rahi hai aaj draupadi

kaurv kul ka nash

are paapiyo 

raaj tumhara aandhi me ud jayega

are paapiyo 

raaj tumhara aandhi me ud jayega

naari par jo julm karega wo samaj mit jayega

are paapiyo 

yaha pe baithe maharathi sab

ek se ek nirale

yaha pe baithe maharathi sab

ek se ek nirale

par inke hontho par dekho

aaj pade hai taale

sharam karo re sharam karo

sharam karo re sharam karo

hey dhram ke thekedaro

ya to mujhe ubaro

ya hatho me chudiya dharo

sawdhan apmaan mera ye

sawdhan apmaan mera ye

ek din pralay machayega

naari par jo julm karega wo samaj mit jayega

are paapiyo 

lagta hai dharti se uth gaya

daya dhram ka dera

lagta hai dharti se uth gaya

daya dhram ka dera

ghar ka pahredar bana hai

dekho aaj lutera

waqt aa gaya maa gandhari

waqt aa gaya maa gandhari

apne nain bhigolo

ak abla ho rahi hai nangi

aankh ki patti kholo

tum se aaj in dushto ka

tum se aaj in dushto ka

andher na dekha jayega

naari par jo julm karega wo samaj mit jayega

are paapiyo 

dekh rahi main dur gagan me

jalti huyi chitaye

dekh rahi main dur gagan me

jalti huyi chitaye

dekh rahi main disha disha me

pralaynkar jawalaye

nahi rahega raaj path ye

nahi rahega raaj path ye

nahi rahega ye dushashan

nahi rahega ye duryodhan

aaj ka ye anyay mera

aaj ka ye anyay mera

ab khun se dhoya jayega

naari par jo julm karega wo samaj mit jayega

are paapiyo 

hey ablao ke rakshak kahan ho

dukhiyo ke vighan vinashak kahan ho

kahan ho

hey ablao ke rakshak kahan ho

rkshita rkshita trahimam trahimam

hey ablao ke rakshak kahan ho

kahan ho kahan ho

Explore this song