Roman script

aramaan machal rahe hai dil-e-beqraar me

aramaan machal rahe hai dil-e-beqraar me

abke baras bhi aap na aaye bahaar me

apno ko gair gair ko apnaa samajh liyaa

apno ko gair gair ko apnaa samajh liyaa

kyaa kyaa fareb khaye tere aitbaar me

taqadir kaa hai na dosh na unki koi khata

taqadir kaa hai na dosh na unki koi khata

dil hi nahi rahaa hai meraa ikhtiyaar me

zaalim kadam sambhaal ke rakhna khudaa gawaah

zaalim kadam sambhaal ke rakhna khudaa gawaah

sajde bichhe hue hai teri rahguzaar me

aramaan machal rahe hai dil-e-beqraar me

Explore this song