Roman script

apne haatho ki lakiro me, basa le mujhko

mai hu tera, to naseeb apna bana le mujhko

mujhse tu puchhne aaya hai, wafa ke mani

ye teri saadadili, maar na dale mujhko

ye teri saadadili, maar na dale mujhko

khud ko mai baant na dalun, kahin daman-daman

kar diya tune agar, mere hawaale mujhko

kar diya tune agar, mere hawaale mujhko

waada fir waada hai, mai zehar bhi pee jau qateel

shart ye hai, koi baahon me sambhale mujhko

apne haatho ki lakiro me, basa le mujhko

mai hu tera, to naseeb apna bana le mujhko

Explore this song