Roman script

apne baap ka kya jata hai apne baap ka kya jata hai

kahi band kahi chhaka jam kar gaya koi kam tamam

chorahe pe jal gayi bas do ko mar ke bhage das 

bich sadak pe nare baji pandit se takaraya kaji 

dharam aur mahajab ke naam pe koi dhandha karwata hai

koi dhandha karwata hai apne baap ka kya jata hai

koi dhandha karwata hai arey apne baap ka kya jata hai

apne baap ka kya jata hai apne baap ka kya jata hai

apne baap ka kya jata hai 

bacha chhota bag bada hai kamar jhuki hai phir bhi khada hai

usko education ne mara usko doneshan ne mara

aaj ke dor me aage badana hai bada mushkil ab padana 

jiske pas nahi hai paisa wo kaha ab pad pata hai 

wo kaha ab pad pata hai apne baap ka kya jata hai 

wo kaha ab pad pata hai arey apne baap ka kya jata hai

apne baap ka kya jata hai arey apne baap ka kya jata hai

apne baap ka kya jata hai

gunde ka bhai inspector inspector ka jija lawyer 

loyar ka neta hai sala alag hai chabi par ek tala

phir bhi hai bas mari mari jaye kaha janta bechari

upar se lekar niche tak har koi ab ghus khata hai 

har koi ab ghus khata hai apne baap ka kya jata hai

har koi ab ghus khata hai arey apne baap ka kya jata hai

apne baap ka kya jata hai apne baap ka kya jata hai

apne baap ka kya jata hai 

achha kam jo karne jao morache walo se takarao 

baap na hoga ma na hogi sapno ki duniya na hogi

kale mukhade ho jayenge desh ke tukade ho jayenge

ab bhi kya tu ye gayega sath mere jo ab gata hai 

sath mere jo ab gata hai 

arey bolte kyu nahi hai apne baap ka kya jata hai 

bolti band ho gayi kya apne baap ka kya jata hai 

apne baap ka kya jata hai apne baap ka kya jata hai 

apne baap ka kya jata hai

Explore this song