Roman script

apna hai phir bhi apna badhkar gale lagale

accha hai ya bura hai, apna use bana le

apna hai phir bhi apna

mat soch tere dil me yeh kaisi kashamkash hai

jo khenchti hai tujhko wo khun ki kashish hai

parda pada hua hai jo darmiyaa utha le

apna hai phir bhi apna badhkar gale lagale

accha hai ya bura hai, apna use bana le

apna hai phir bhi apna

chup hai jaban phir bhi apna lahu pukare

tum ek aasma ke tute hue ho taare

najre to mil gayi hain, dil se bhi dil mila le

apna hai phir bhi apna badhkar gale laga le

accha hai ya bura hai, apna use bana le

apna hai phir bhi apna

apna hai phir bhi apna badhkar gale lagale

accha hai ya bura hai, apna use bana le

apna hai phir bhi apna

Explore this song