Roman script

nayi hawa me udne dekho 

van ka mor chala

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala 

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala 

nayi hawa me udne dekho 

van ka mor chala

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala 

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala 

sunte hain shehar me jab jab 

saavan bhaado aata hain 

sunte hain shehar me jab jab 

saavan bhaado aata hain 

paani ki bundo ke badle 

hare not barsaata hain 

bhar leta hain jholi 

jiska jitna jor chala 

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala

ye bhi suna hain raat wahan ki 

din ko sharmati hain 

ye bhi suna hain raat wahan ki 

din ko sharmati hain 

divaron ko haath lagaao 

to batti jal jaati hain

apne ghar to deeya kabhi na 

saari raat jala 

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala

ye dharti aakash 

vaha bhi hoga ya na hoga 

ye dharti aakash 

vaha bhi hoga ya na hoga

dekha jayega kismat me 

jo bhi likha hoga 

nikal pade jab ghar se

kyu na karega ram bhala 

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala 

apna gaon sambhalo 

mai to shehar ki or chala

Explore this song