Roman script

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

jab aayaa darvaazaa pahala hamane use dhakela

khulte hi darvaazaa dekhaa ujiyaro ka mela

raste me ek burzi dekhi dhokhaa dekhe vaali

raste me ek burzi dekhi dhokhaa dekhe vaali

us burzi ke paas gai to saamane dekhi jaali

antar mantar jantar se 

chhod  ke burzi badhe aage ham bhi the hushiyaar

hath mei hai takdir ka naksha ho gya beda paar

antar mantar jantar se 

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

jab dujaa darvaazaa aayaa us par dekhaa taalaa

akal ki chaabi laga ke hamne maze se kholaa talaaa

phir dekhe chaubaare jin par thaa andhiyaaraa

phir dekhe chaubaare jin par thaa andhiyaaraa

dur kahi par khidki chamki jyun badli me taaraa

antar mantar jantar se 

aashaao ke dip jalaae ham bhi ho gaye paar

hath mei hai takdir ka naksha ho gya beda paar

antar mantar jantar se 

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

gairo ke mahal me pahunche bhed churakar laay

sab darvaaze chor bane the choro se takaraay

chakkar ne sau chakkar daale phir bhi naa ghabaraay

jaise chal kar ham pahunche the vaise vaapas aay

antar mantar jantar se 

apni manzil jit ke aay naa maane ham haar

hath mei hai takdir ka naksha ho gya beda par

antar mantar jantar se 

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

antar mantar jantar se maidaan liyaa hai maar

Explore this song