Roman script

aankhon ke tare jag ujiyare 
aankhon ke tare jag ujiyare 
nindiyan naino mein kajara dare 
nindiyan naino mein kajara dare 
aankhon ke tare jag ujiyare 
aankhon ke tare
sapane sajakar nindiya rani 
aai hai naino mein gam ki kahani 
band huye palako ke duaare 
aankhon ke tare jag ujiyare 
aankhon ke tare
tu soya pal jaag uthe hai 
biti hui yaado ke mele 
suraj dub chuka hai phir bhi
ek kiran aangan mein khele 
so ja fagan ma ke sahare 
aankhon ke tare jag ujiyare 
aankhon ke tare

Song details

Song video

Watch on YouTube