Roman script

Lauta do..

Mere khwabon ko lota do

Anjaane raaston mein

Zindagi jo thi mili

Do ghadi ki ye khushi thi

Ab zehar si ho chali (x2)

Ab kya hui hai kami

Yeh dhadkane hai thami

Lamhe hairaan hain

Beeti wo raate wo din

Hai jism rooh ke bin

Saansein bejaan hain

Dil bhi kya kare

Tanha chale, tanha ruke

Dil dhoondein usey

Jo khwabon ko lota sake (x2)

Baarish mein bheegna

Boondon ka naachna

Yaadon ke vird pe raaton ka jaagna

Jo mile thhe ye kinaare

Woh bhanwar kyun ho gaye

Yehi mere thhe sahaare

Kahin mujhse hi kho gaye

Jaane kami hai kahaan

Milay na koi nishaan

Beghar armaan hain

Dil bhi kya kare

Tanha chalay, tanha rukay

Dil dhoondein usey

Jo khwabon ko lauta sakay

Hum do mein baant’ti

Rukh apne aadh thi

Kuch pal thhe jab haseen

Hothon ke saath thi

Teri baaton ke guzaare

Woh pal dhundhla gaye

Jal gaye saaye saare

Sehra ye batla gaye

Kaisi kami hai bhalaa

Ye chahaton ka sila

Hum hi nadaan hain

Dil bhi kya kare

Tanha chale, tanha ruke

Dil dhoondein usey

Jo khwabon ko lauta sake..

Explore this song