Roman script

angdai par angdai, leti hai raat judai ki

angdai par angdai, leti hai raat judai ki

tum kya samjho, tum kya jano 

baat meri tanhayi ki

kaun siyahi ghol raha tha 

waqt ke behte dariya me

waqt ke behte dariya me

maine aankh jhuki dekhi hai 

aaj kisi harjai ki

tum kya samjho, tum kya jano 

baat meri tanhayi ki

wasl ki raat na jane kyu 

israar tha unko jane par

israar tha unko jane par

waqt se pehle dub gaye 

taaro ne badi danai ki

tum kya samjho, tum kya jano 

baat meri tanhayi ki

udte udte aas ka panchi 

door ufaq me doob gaya

door ufaq me doob gaya

rote rote baith gayi aawaz kisi saudai ki

angdai par angdai, leti hai raat judai ki

tum kya samjho, tum kya jano 

baat meri tanhayi ki

Explore this song