Roman script

ajab teri maya ajab teri maya 
tera bhed na paya tune kya kya banaya 
mere ram mere ram ajab teri maya
suraj chand sitare tere 
najre hmarai najare tere 
teri najar me hai sab ek se
ek jaise sabko sahare tere
mere ram mere ram ajab teri maya
nadiya se jab koi nadiya mile
lahraye jhume lipat ke gale
insan me hi kami hai magar
insan ko dekhe to insan jale
mere ram mere ram ajab teri maya
sur me hai tu tu hi sangeet me
jiwan me jalte hue deep me
pagli hai dunia samajhti nahi
moti bhi mil jate hai seep me
mere ram mere ram ajab teri maya
tera bhed na paya tune kya kya banaya 
mere ram mere ram

Song details

Song video

Watch on YouTube