Roman script

ajab ek pagal si ladki hai

ajab ek pagal si ladki hai

mujhe har khat mein likhati hai

batao tum mujhe pehle ke

jaise pyaar karte ho

tumhe har waqt kya

kabhi meri yade satati hai

nazaron mein tumhe dikhati hain 

kya parchhaiya meri

tumhe kya shaam ko

abhi meri baahein bulaati hai

ajab ek pagal si ladki hai

tumhaari aankh mein chhup kar kya

mera khwaab rehta hai

tumhara dil abhi tak

kya meri khatir dhadkta hai

tumhein khamosiyo me 

kya meri aawaaz aati hai

andheron me abhi tak kya

mera chehra chamkta hai

ajab ek pagal si ladki hai

main kehta hu main uljha hu

ghum e duniya me kuch aisa

na ab wo dil hi baaki hai

na ab wo dhadkane baaki

sheher se shaam tak

jeevan mein itna shor rehta hai

na wo khamoshiya baaki

na ab wo aahate baaki

main chahun bhi to tumko 

yaad karne ki nahi fursat

bada mashruf hai har pal kaha 

milati hai ye mohalat

wo phir se puchhati hai

kyaa bhula dala mujhe tumne

wo ek maasum saa rishta

jala daala usse tumne

ajab ek pagal si ladki hai

main kehta hu jahaan ki aag me 

sab kuchh jala lekin

tumhara khwab aankhon me 

pada hai adhjala lekin

main tumko bhul jaane ka yakeen 

khud ko dilata hoon

tumhare bin bhi hu zinda

yahi sab ko batata hu

magar aankhon mein rehta hai

tumhare naam ka aansu

har ek mehfil mein yun to

main hamesa khil khilata hoon

ajab ek pagal si ladki hai

mere dil ke har ek kone mein

ab tak tu dhadkti hai

koi bhi phool dekhun main to

usme tu mehkti hai

tere hi khwaab ke jugnu 

mere palkon pe aate hai

teri hi yaad raato mein

sitaaron si chamkti hai

hai jinko tajurba ulfat ka

wo humko batate hai

jinhe hum bhul na chahein

wo aksar yaad aate hai

hunar yun to zamane mein

mujhe kyaa kuch nahi aaya

tumhein main bhul jaaun

bas yahin jaadu nahi aaya

tumhein main bhul jaaun

bas yahi jaadu nahi aaya

Explore this song