Roman script

aisi chiz sunaye ki mehfil de tali pe tali

varna apna nam nahi banne khan bhopali

munne miya badhayi bano khub honhaar

dono jahan ki nemate ho aap pe nisaar

ha bachapan ho kushgavar jawani sadabahar

allah kare ye din aaye hajar baar

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

are jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

ha jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

hai kaam admi ka

hai kaam admi ka, auro ke kaam aana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

kisi ne kaha tu hai taro ka raja

kisi ne kaha aaja mere paas aaja 

kisi ne dua di kisi ne badhayi

sabki ankho ka tu tara bane

teri hi roshani me chamke tera gharana

hai kaam admi ka 

hai kaam admi ka, auro ke kaam aana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

dil lagakar tu padhna, hamesha aage badhna

sach ka daman na chhute, chahe ye duniya ruthe

kam tu achha karna, sirf allah se darna

sabhi ko gale lagana, mohabbat me lut jana

mohabbat wo khajana hai kabhi jo kam nahi hota

hai jiske paas daulat use kuchh gam nahi hota

hai jiske paas daulat use kuchh gam nahi hota

mera tera karke jo marte, gore kaale me bhed karte 

unko ye samajhana

sab log hain barabar, itna na bhul jaana 

hai kaam admi ka 

hai kaam admi ka, auro ke kaam aana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

surat pe masha allah, wo baat hai abhi se

tadapenge dil hajaro, gujroge jis gali se

doli me jab bithakar, laoge phuljhadi ko

jinda rahe to ham bhi, dekhenge us ghadi ko

agar allah ne chaha, to ham us din bhi ayenge

badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge

agar allah ne chaha, to ham us din bhi ayenge

badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge

badhayi hamne gaayi hai to, ham sehra bhi gayenge

chand-suraj bhi ayenge niche

dulha-dulhan ke aage pichhe, phul barsaayenge

aayega jab khushi ka hansta huaa jamana 

hai kaam adami ka

hai kaam admi ka, auro ke kaam aana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

jina to hai usi ka, jisne ye raaz jana

Explore this song