Roman script

na meri chali, na dil ki chali, jo chale so chalti hai

aaghaz vohi anjam vohi ye kiski galti hai

aisa hota tha aisa hota hai, aisa hi hota hai

voh dhup chade jo diwar par yaad jo aaye to kya kare

log to uth ke chal diye saya na jaye to kya kare

aan padi hai ab vo ghadi na bane hi banti hai

aan padi hai ab vo ghadi na bane hi banti hai

aaghaz vohi anjam vohi ye kiski galti hai

aisa hota tha aisa hota hai, sau tola sach hai

do badan do ruh thi, ek zamane me ek the

haa wafa me koyi dosh tha, bewafa to sare nek the

nazar ka tar koyi tod le to chot si lagti hai

nazar ka tar koyi tod le to chot si lagti hai

aaghaz vohi anjam vohi ye kiski galti hai

aisa hota tha aisa hota hai, aisa hi hota hai

aisa hota tha aisa hota hai, aisa hi hota hai

Explore this song