Roman script

aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 

o muddat ka armaan jhum kar gaaya 

rangin dhadkane jaagi, mithi uljhane jaagi

dil mera itraaya, ithlaaya 

ho aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 

pyaar ne baaju khole, har saans me khushboo dole 

waqt hai is kadar mehrabaan

ho pyaar ne baaju khole, har saans me khushboo dole

waqt hai is kadar mehrabaan

kise ab hosh hai, fija madhosh hai

kise ab hosh hai, fija madhosh hai

aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 

o muddat ka armaan jhum kar gaaya 

kaun ye dil me jhaanke 

yun shokh najar se taaken 

gaal me bhar gayi surkhiyaan

ho o ho kaun ye dil me jhaanke

yun shokh najar se taaken

gaal me bhar gayi surkhiyaan

chaman se khil gaye, jo do dil mil gaye 

chaman se khil gaye, jo do dil mil gaye 

aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 

o muddat ka armaan jhum kar gaaya 

rangin dhadkane jaagi, mithi uljhane jaagi

dil mera itraaya, ithlaaya 

ho aisa ek mehmaan aaj ghar aaya

Explore this song