Roman script

ai pardanashi yeh ishk kahi pardo me chhupaya jaata hai

naadan kahi inn sholo ko sine me dabaaya jaata hai

pardo me abhi hone de jawaan andaaj yeh tirandaaji ke

andaz yeh sab reh jaate hai jab tir chalaya jaata hai

ai pardanashi yeh ishk kahi pardo me chhupaya jaata hai

maana ke jabaan khaamosh rahe, aankho pe magar kaabu kiska

afsana-e-dil hontho se nahi aankho se sunaaya jaata hai

ai pardanashi yeh ishk kahi pardo me chhupaya jaata hai

is aag ka bujhna mushkil hai, is raz ka chhupna mushkil hai

hote hai jahan bhar me charche jitna yeh chhupaya jaata hai

ai pardanashi yeh ishk kahi pardo me chhupaya jaata hai

Explore this song